Mera ye blog khaaskar unlongo ke liye hai jinko mere blog ka besabri se intezar hota hai.Kai baar to mujhe mere dosto se ye jaan ke hairani huyi ki mera blog unhe mere theek-thaak hone ka suchnapatra sa lagta hai. Kuch doston ne to ye kaha ki tum jab lambe samay tak contact mein nahi rahti ho toh hum tumhare blog pe jaakar tumhare recent post ko dekhkkar ye samajh jaate hain ki tum theek ho. Ismein koi shak nahi ki mere blog padhne waalo ki tadaad bnahut kam hai.
Kuch doston ne to mujhse ye kaha ki bekaar hai, kyon likhti ho, koi padhta wadhata nahi.waise bhi tum kaun si badi writer ho. unki baato se sirf do cheejein mere jehan mein aayi.
log padhe aur comment kare ya phir mere readers ki sankhya bahut jyada ho,main isiliye nahi likhti.
Main isiliye likhti hoon kyonki mujhe shabdon se sukoon milta hai. jab meri soch aur bhavnaaye shabdon ka aakaar leti hai to muje utni hi khushi milti hai jitni ki ek shilpkaar ko ek tedhe medhe badsoorat bedhange pathar ko taraashne ke baad kisi khoobsoorat si devi ki pratima gadhne mein milti hai.jisko dekh kar us shilpkaar ko devatva ka bodh hota hai. aur writer bada hona koi badi baat nahi hai.wo toh log likhte likhte ho hi jaate hain. no doubt maine abhi shuruaat ki hai and 'miles to go' waali baat to kahin kahin na laagu hoti hi hai.
to main baat kar rahi thi apne un reader ke baare mein jo mere blog ko padh kar chota mota comment maar jaate hain. jaise achha hai, keep it up.good, nice, excellent, badhiya likhte ho. kuch to keval shabdo mein phans ke rah jaate hain,kahte hain achhe shabdo ka prayog.
to main aaj in sab reader se ek sawaal poochna chahti hoon.ethics aur need mein kisi ek ko chunna pare to lihaja aapka jawab hoga ethics, kyonki bina ethics ke insaan insaan nahi hota.
jaha ethics nahi hota hai wahaa corruption hota hai.
corruption se khayal aaya.ki aaj mein.paasport ke silsile se sarkari daftar gayi thi. office pahunchte hi maine waha ke head ko bataya ki mera paasport verification ke liye aaya hai, isi ke silsile mein
mujhe kuch baatcheet karni hai.waha baithe officer ne sabse pahla sawaal kiya "kya layi hain aap".
isse saaf jaahir ho gaya mujhe ki ye log paise ki baat kar rahe hain.jaha tak mujhe pataa tha ki ismein kuch lenden nahi hota. inki jimmeddari hai ki ye veify karein,par phir bhi maine socha ye to khayenge hi. thoda soch kar maine bola."kitna lijiyega,400-500". itna sunte hi officer ko aisa laga jaise maine uski ijjat utaar di ho. wo taav main aakar bola "chhar-paanch sau se aajkal kya hoga wo to S.P. saahab hi le lete hain, main 1500 se kam nahi loonga" 1500 sunne ke mujhe bahut atpata sa laga. kaha mein 4-5 sau soch rahi thi, aur ye 1500 ki demand kar raha hai. mujhe saaf samajh mein aa raha tha ki ye bandarbaat hoga. phir maine bola."nahi nahi.bahut jyada hai ye.nahi de sakti main.kyun du main,.ye to galat hai na." jaise hi maine ye shabd bola.saamne baithe officer ne saaf lafzon mein kaha.
"mera waqt barbaad mat karo.dopaahr ho gayi hai.mujhe bhookh lagi hai.khane ko jaana hai.paise dogi to kaam hoga warna jaao." maine usko bola ki aise kaise jaao.jab paper saamne hai to verify karo.
usne mujhse bare teekhe andaaz mein kaha ki."mera kya hai, main kah doonga, maine verify kiya, ye yahaan nahi rahti, main vaapas bhej doonga kaagaz".
mujhe ajeeb sa laga.aisa kaise.actually main shocked ho gayi thi.ye to galat hai na. bhrashtachar se pahli baar aamna saamna hua tha.mujhe aaj bhi yaad hai Delhi ke Ramleela ground mein hajaaron ki bheed mein Anna Hajare ka wo jordar pradarshan.Lokpal bill ke liye aamran bhookh-hartaal, jisko desh bhar ke longo ne support kiya tha. main bhi gayi thi.Anna ji ka utsaah badhane aur desh ko bhrasht hone se bachhane.
Aaj pahli baar corruption ko apne saamne seena taan ke akarte dekha. maine bas itna bola ki.aisa thode hota hai.aap aisa kaise kar sakte ho.its not good. aur wallet se 1500 nikaal ke de diye.aur bas apna kaam ho gaya. aur main sochi.chalo jaane do.kaam to nikla.Jab main ghar jaa rahi thi.to achanak se jehan mein ek naam aaya.wo wohi naam tha.jiske liye Raamleela ground mein aur longo ke saath maine naare lagaye the.mujhe lagne laga ki sab khokhla hai.
Achanak se guilt aaya.ki I shouldnt have given money.Why I gave. nahi karta to nahi karta.mujhe corruption ko badhana nahi chahiye. bheed mein to jaakar Anna ko support kar main bahut kush thi.par sab bekaar.jab akele ladne ki baari aayi, khud ko prove karne ka samay aaya to main haar gayi.I am a loser.I escaped from the situation. isi gusse mein phataak se maine apne bhai ko phone lagayi. aur chillate huye kaha "mujhe paise nahi dene chahiye the.kya faayda corruption ke baare mein discuss karne se. hum discuss hi kar sakte hain.kuch aur nahi kar sakte hain." bilkul gusse main aag-baboola.
to bhai ne bade pyar se sawaal poocha."tere paas aur koi option tha.tujhe agar nahi dena tha.to nahi deti,kyon di. courage aur patience hai to jaa chakkar kaat police station ka.har us office ka jaha tujhe kaam hai. kya hoga.wo log waapas bhejenge.thoda waqt jaayega.par 6-7 mahine mein kaam to ho hi jaayega."
5 min ka kaam aur itna waqt barbbad. isse better hai ki paise de do. bhai ka kahna galat nahi tha.mere us krantikaari bahgat singh ke vichhar se kahin behtar bhai ki soch lagi. ab aap batao. ethics ya phir need.aap meri jagah hote to kya karte.
E T H I C S.....Paise nahi dene chahiye, India is nothing but we, it starts from ourself..we can't do this and then say India is corrupt....log khate hai kyu ki hum khilate hai.... :( 6 7 mahine bad kam ho jaye par officer ko sabak milti hai, sala next time sochega 10 bar paise lene se.....
ReplyDeletePay money & then cry foul...
ReplyDeletelike a four year old kid!! If just being a armchair critic was the solution...tujhe to noble price milta!!